Youtag Sponsor ID 48797

Android Mobile Me Facebook Se Video Kaise Download Kare




Aaj mai aapko batane ja raha hu Android Mobile me Facebook se video kaise download karte hai isse pahle  Computer me Facebook se video kaise download karte hai iske bare me jankari share kar chukka hu, Facebook aaj sabse papular social networking site ban chukka hai jis par aaj pic ke sath video bhi share kiya ja raha hai, agar hame koi video accha lagta hai to ham us video ko download karke apne mobile me rakh sakte hai.


To chaliye jante hai us video ko mobile me kaise download karte hai.


Step 1 :----
Sabse pahle aap Play Store me jake Video Download For Facebook Apps Download kare.



Step 2 :----
Ab apps ko open karke Login With Facebook par click karke facebook account login kare,

Note :---- Aapke Mobile me pahle se facebook apps me aapka facebook account login hona chahiye,



Step 3 :----
Ab aapke account me login hone ke baat bahut sare video ka option milega jaise ki neeche pic me diya gya hai.


1.   My Upload Video
2.   My Tagged Video
3.   Page Video
4.   Friend Video
5.   Group Video



Step 4 :----
Aur bhi option milega aapko jo bhi video chahiye us par click karke dekh sakte hai, Ab aap dekh sakte hai mare ek friend Rahul kumar dwara ek Video mare Profile par tag hua hai.


Ab is video ko Download karna ho to us par click karte hai.


Step 5 :----
Jaise hi video par click karnge ek option aayega usme ham Download par click karke Video ko Download kar sakte hai.


Ab aap samjh hi gye honge ki Mobile me Facebook se video kaise download karte hai.


एक टिप्पणी भेजें

1टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें