Youtag Sponsor ID 48797

Hard Disk Drive Ko Hide Kaise Kare


Aaj ham janege Hard Disk Drive Ko Hide (Chupana) kaise kare.
Kabhi-kabhi aisa hota hai ki ham kisi File ko Apne Systam me rakhte hai aur use koi Chori kar leta hai ya phir Delete kar deta hai aisi halat me me hame Dard Disk ko hide kar dena chahiye kyu ki n Hard Disk dikhai dena aur na koi delete ya chori kar payega,
 Is traha hamara file bhi Surakshit rahta hai.




Ise hide karna bahut hi aasan hai bas aap mujhe Step by step follow karte jaiye…


Step 1 :----
Sabse pahle aap Apne Computer par Right click karke Manage par click kare.



Step 2 :----
Jaise hi aap Manage par click karte hai to ek window open hota hai.



1.   Isme aap Disk Management Par click kare,
2.   Uske baad jis bhi Hard Disk ko hide karna hai uspar Right click karke Change Drive Letter and Paths… Par click kare jaise ki upper pic de dekhaya gya hai.




Step 3 :----
Jaise hi aap Change Drive Letter and Paths… par click karte hai to ek popup window open hota hai. Usme Remove par click kare.




Step 4 :----
Remove par click karte hi ek window open hota hai us window me Yes par click kare.



Step 5 :----
Yes par click kane ke baad ek new window open hota hai usme Yes par click kare.



Ab aapka Hard Disk hide ho jayega

____________________________________________________________


Aur jab Hard Disk Drive ko wapas Show karna hota hai to Same Stap karte jaye aur jaha se aap Remove par click kiye the wahi se Add par click kare, jaise niche pic me diya gya hai.




Add par click karne ke baad ek window open hota hai usme Ok par click kar de. Ab aapka Hard Disk Drive show hone lagega.



Agar aapko koi bhi dikat aati hai to Comment kar ke puche. Aur ye bhi bataye ye post aapko kaisa laga.

एक टिप्पणी भेजें

2टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें