Youtag Sponsor ID 48797

IRCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kaise Kare

 

Hii Dosto aaj mai aapke liye ek New post lekar aaya hu jisme ham janenge Kaise IRCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kar Sakte Hai, Waise bahut se Logo ko iske bare me pata hoga ki Indian Railway ne Online Train Ticket ke liye www.irctc.co.in ko lanch kiya hua hai.


IRCTC Ke madad se aap Ghar baithe Online Train ka Ticket nikal sakte hai aur Cancel bhi kar sakte hai. iske liye aapko Train ke Ticket counter par jane ki zarurat nhi padega.


Aur aapko to acche se pata hoga ki ticket Counter par janke ke baad aapko Ticket book karna ho ya Cancel karna ho uske liye aapko Ek From fill karna padta hai aur lambi line me khada hona padta hai agar iss Traha ki paresani se bachna chahte hai to iss Post ko Acche se padh ke Ghar Baithe ITCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kar sakte hai.


IRCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kaise Kare

IRCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kyu Kare.

Sabse pahle sawal ye aata hai ki Ticket ko Cancel kyu kare. Jaise ki kabhi-kabhi aisa hota hai ki ham kahi Jane ke lie Ticket book karke rakte hai aur kabhi bahut zarurai kaam pad jane ke wajha se wo Yatra nahin kar pate hai, ya kuch aur Problam ke wajha se ham Yatra nahin karna chahte.


to aise me hame wo Book kiya hua  ticket ko Cancel karna pad jata hai, jisse hamara Ticket ka Paisa hame wapas ussi Account me mil jata hai jis Account se book karte time Paisa lagta hai. Aur hamara Nuksaan bhi na ho iske wajha se Hame IRCTC Se Train Ka Ticket Ko Cancel Karna padta hai.


IRCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kaise Kare.

Step 1 :--- Sabse pahle aapko www.irctc.co.in website ko Open karke Apna Account Login karna hoga. Uske baad My Account par click karke My Transaction >> Book Ticket History par click kare.


Booked Ticket History


Step 2 :--- Ab aapke Samne aapka Sabhi Book kiya hua Ticket Ka list open Ho Jayega. Usme se Aap jis Ticket ko Cancel karna chahte hai uspar Click kare, uske baad Cancel Ticket par click kare, Mai yaha aapko ek Ticket cancel karke batata hu.

Cancel Ticket Par click kare

Step 3 :--- Cancel Ticket par click karte hi Ek Popup Page open hoga usme aap Pasenger ke Name List ko Tik (√) kare, alag Ek hi Ticket me 4 – 5 logo ka Ticket book hua ho aur agar kisi ek ka Cancel karna ho to uske naam par Tik karke Cancel Ticket Par Click kare.


Ticket ko Tik Karke Cancel Ticket Par Click Kare


Step 4 :--- Cancel Ticket par click karke ke baad Ek aur Popup page Open Hoga jisme Likha hoga. Do You Want to Process the Cancellation Request ? jisme aapko OK par Click karna hai.


Ok Par click Kare

Step 5 :--- Ok par click karte hi aapka Ticket Cancel ho jayega Aur New Popup page me aapko Cancel Ticket ki Puri Details dekh sakte hai, Jisme bataya gya hoga ki aapka Cancellation Charge kitna laga hai aapka Kitna Paisa aapke Account me wapas hoga. Aur aapka Paisa 5 se 7 Din me aapke Account me wapas aa jata hai.

Agar aap Chahe to waha se cancel ticket ka Print bhi Nikal sakte hai.


Cancel Ticket Ko Print Kare

Note :-- Train ke Chalte ke Time se 4 se 5 Hour pahle Ticket Cancel karne hoga kyuki Train ke Time se 4 se 5 gante pahle Ticket ka Chart banta hai, agar chatrt banne ke baad Ticket cancel karenge to aapka Paisa wapas nahin milega.

To Dosto is Traha se aap Bahut Hi aasani se Ghar baithe IRCTC Se Train Ka Ticket Cancel Kar Sakte hai. aur iss Post se Releted koi sawal ho to Niche Comment kare aur Sath me Hame bataye ki aapko ye Jankari kaisi lagi, Aur Aise hi New jankari Social Site Par Follow kare.


Read Also....

  1. Computer Ka Login Background Kaise Change Karte Hai 
  2. Apne Computer Ki Puri Jankari Kaise Dekhe Ek Jagha
  3. Kisi Bhi Software Ke Liye Run Command Kaise Banaye

Tags

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)