Youtag Sponsor ID 48797

WhatsApp Ke Personal Chat Ko Lock Kaise Kare

 

Hello Dosto Kaise hai Aap sab Ummid karta hu Aap sab acche honge. Main hu Chakradhari Kumar Thakur aur aapne Visit kiya hai HindiMeTrick.com . Dosto aaj phir mai Kaafi samya ke baad aapke sath Aisi Trick Share karne wala hu jiski madad se Aap Apne WhatsApp Ke Personal Chat Ko Lock kar sakte hai.


WhatsApp Ke Personal Chat Ko Lock Kaise Kare

Jaise ki aapko batane ki zarurat nahin hogi ki aaj ke jamane me WhatsApp kitna Papular Chatting Apps hai, lagbhag sabhi ke Smartphone me WhatsApp Install rahta hai aur Sab koi Use karta hai. Aur ham kisi na kisi se chat karte rahte hai 

agar aap Chahte hai ki hamara Chat koi Aur padh na paye to iss Trick ke madad se Aap WhatsApp ke Personal Chat Ko Lock bahut hi Aasani se Lock kar payenge.Lekin use pahle sawal aata hai ki Ham WhatsApp ke Chat ko Lock kyu kare, to chaliye janta hai.


WhatsApp Ke Personal Chat Ko Lock Kyu Kare.

Jaise ki ham bahut se Logo se Chat karte hai aur jab hamara Mobile kisi ke hath me jata hai to koi na koi hamari chat ko padh leta hai, maan lijiye koi Boyfriend/Girlfriend chat kiye ho aur aap Chahte ho ki aapka Personal chat koi aur na padh paye to aap Lock laga sakte hai.

Waise to Apps lock ke liye bahut se Apps Play Store me hai lekin Uss Apps se pura WhatsApp lock ho jata hai lekin aap kuch Personal chat ko lock karne ke liye Iss Trick ka Istmaal kare,


WhatsApp Ke Personal Chat Ko Lock Kaise Kare.

Step 1 :--- Sabse pahle aap Niche diye gye Link par click Karke Play Store se Locker For Whats Chat App – Secure Private Chat Naam ka Apps Install kare.


Download Kare

Step 2 :--- Apps Install hone ke baad Open karke Apna 4 Digit ka Password Set kare aur ussi Password ko dubara set karke Confirm kare, uske baad Ko Page Open Hoga usme Apna Email-Id submit kare, agar aap Password bhul jate hai to Recover karne ke liye Email-Id ka zarurat padta hai,


Password Set Kare


Step 3 :--- Uske baad aapse ek Permisson manga jaega aap usko Enable kare. Jaise ki niche diye gye Image me dekh sakte hai.


Permisson Enable Kare

Step 4 :--- Ab aap + par click kare, + par click karte hi aapka WhatsApp open ho jayega ab aap jis-jis Chat ko Lock karna Chahte hai usmar click kare. Ab aapka Personal chat Locker Apps me add ho ga hai aur Lock bhi ho gya hai.


WhatsApp Chatting List WhatsApp Chat Me Add Kare

Step 5 :--- Ab aap Locker apps me dekh sakte hai ki aapke Personal chat wale Add hone ke sath Lock ho gye hai aur agar aap jisko bhi Unblock karna chate hai to Lock par click karke Unblock kar sakte hai, aur kisi ko List se Remove karna ho to select  karke Remove kar sakte hai.


WhatsApp Chat List


To dekha dosto iss Traha se Aap Kisi Bhi WhatsApp Ke Personal Chat ko Lock kar sakte hai. aur apne Chat ko Secure kar sakte hai, aur iss Apps ke madad se aap Personal chat ke sath Group Chat ko bhi Lock kar sakte hai.

Ab aap mujhe niche Comment Box me comment karke batae ki e Jankari aapko kaisa laga aur aapka koi sawal ho to usko bhi Comment kar sakte hai, aise hi aur Jankari ke liye aap hame Social Site par follow kare.


Ye Post Bhi Padhiye...

  • Computer OR PenDrive Se Shortcut Virus Ko Delete Kaise Kare
  • Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye
  • Computer Me Screenshot Kaise Lete Hai 
  • एक टिप्पणी भेजें

    0टिप्पणियाँ
    एक टिप्पणी भेजें (0)