Youtag Sponsor ID 48797

Kisi Bhi Software Ke Liye Run Command Kaise Banaye

Run command ke bare me to aap jante hi honge. Run command ke dwara ham Computer ke kisi software ya setting ko open karte hai jaise ki computer me Notepad kholna ho to Windows ke sath R (windows+R) dabate hai aur jo windows open hota hai usme Notepad likh kar Enter dabate hai to Notepad khul jata hai,




Run command kuch hi setting or software ko kholne ke liye hota hai. Isse hamare system ka har ek software nhi khul sakte.
Lekin agar aap chahe to apni subidha ke ansar kisi bhi software ka Run command bana sakte hai jiske dwara aap software ke shortcut tak gaye bina kisi bhi software ko open kar sakte hai kyuki zaruri nhi ki har ek software ka shortcut aapke desktop par ho,
To chaliye jante hai kisi bhi software ka Run command kaise banaye. Isse banana bahut hi aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare….
Aapko jis software ka Run Command banana hai aap usko lekar follow kar sakte hai Exampal ke liye mai yaha Internet Dowmload Manager ka upyog kar raha hu.


Step 1 :----
Sabse pahle aapko apne Desktop ke khali jagha par Right Click karke New >> Shortcut par click kare.



Step 2 :----
Shortcut par click karte hi ek window open hoga phir aap usme Browse par click kare.




Step 3 :----
Browse par click karte hi ek new window open hoga usme aap Computer/Local Disk(C)/Program Files/Internet Download Manager/IDMan par click karke OK dabaye jaisa ki niche pic me diya gaya hai.




Step 4 :----
Ok dabane ke baad Next par click kare



Step 5 :----
Next par click karne ke baad aapko IDMan likha hua milega ab aap usko jo naam dena chahte hai o de sakte hai, jo naam aap yaha denge wahi Run command me likh kar Enter karna hoga. (Mai ab iska naam thoda change karke sirf IDM rakh raha hu)
Ab IDM likhne ke baad Finish par click kare.



Step 6 :----
Ab aapke desktop par IDM naam se shortcut ban gaya hai.


Ab aapko isse cut / copy karke Computer/Local Disk(c)/Windows me paste kar dena hai.



Bas ho gaya aapka kaam ab Windows+R dabaye phir usme IDM type karke Enter Dabaye, Enter dabate hi Internet Download Manager open ho jayega.


Aapko ye post kaisa laga comment karke hame bataye aur social site par share bhi kare Agar aapko koi sawal ho to puchna na bhule….

THANK YOU…..
Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye
Computer Me Facebook Se Video Kaise Download Kare
Apne Computer Ki Puri Jankari Kaise Dekhe Ek Jagha

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)