Youtag Sponsor ID 48797

Mobile Volume Style Change Kaise Kare

 

Hello Dosto Main Hu Chakradhari Kumar Thakur Aur aapne Visit kiya hai Hindi MeTrick. Dosto aaj mai aapke liye Bilkul New Trick lekar hajir hu jisme aapko batane wala hu ki kaise aap Apne Mobile Ka Volume Style Change karke bilkul New Style me use kar sakte hai.

Uske liye aapko mere bataye huye trick ko Step by Step follow karna hai uske baad apne Smartphone ke Volume Button ke Style ko ek alag andaz me dekh sakte hai.


Mobile Volume Style Change Kaise Kare

Mobile Ka Volume Style Change kyu karna chahiye ?


Agar aap ye Post padh rhe hai to aapke man ye sawal aa rha hoga ki Mobile Ka Volume Style Change Kyu kare, jaisa ki aap aapko pata hi hoga ki aaj Kal ke jamane Me Smartphone lagbhag sabhi ke pass hai. aur un sabhi Smartphone me alag alag Opreating System hone ke wajha se Sabhi Mobile me volume ka Style alag alag hota hai,


Aur aapke pass jo Smartphone hoga usme Alag Type ka Styles hoga aur agar aap Us Style ko dusre look me dekhna chahte hai to aap iss Se Apne Smartphone ke Volume Style ko bahut hi aasani se change kar payenge.


Mobile Ka Volume Style Change Kaise Kare.


Step 1 :--- Sabse pahle aapko Google Play Store se Volume Styles apps ko install karna hoga. Niche Diye Link par click karke Direct play store se Download kar sakte hai.


Step 2 :--- Apps install karke Open kare, Open karne ke Baad Start Par click kare uske baad aapse Kuch Permission manga jayega jisko aap Enable kare.

Start Par click karne ke baad Permission ko Enable kare


Step 3 :--- Permission Enable karne ke liye sabse pahle aap Do Not Disturb par click kare. Uske baad Next Option me Do not Disturb Access me volume Style par click karne baad jo Popup open hoga usme Allow kar de. Aap Niche diye gye Image me dekh sakte hai.


Volume Styles ko Allow kare


Step 4 :--- Permission me ab Accessbility Service par click kare. Uske baad Next Option me Volume Style par click karne ke baad Use Service ke Samne click kare aur jo Popup open hoga usme OK par click kare.


Volume Styles Accessibility ko Ok kare

Step 5 :--- Permission Enable hone ke baad Apps me aap alag alag  Volume style dekh sakte hai, jaise ki alag alag Smartphone me rahta hai, jaise ki Android, Ios OneUI, RGB, Wave, MIUI, Windows 10, Android Horizontal, Windows Phone, knob, aur Elastic Style ke dekh sakte hai.

Isme Style me aapko Jo accha lage usko Select kare, jaisa ki Mera Mobile Android hai aur usme jo style hai ab wo accha nahin lagta isliye mai Ab Wave Volume Style Use kar rha hu jo dekhne me bahut accha lagta hai.


Isme me kuch Style Premium hai jiske liye paisa lagta hai, agar aap chahe to Buy kar sakte hai. aur kuch zayada option ke sath use kar sakte hai.


Volume Style List

Step 6 :--- Apna Man pasand Style select karne ke baad agar usko Kuch aur Cusomize karna chahte hai to usme diye gye bahut se Option se Aur zayada behtar bana sakte hai, jaise ki Style Settings par click karke Apps ko Dark Mod ke Sath-Sath Left - Right me Set kar sakte hai.

 

To dosto iss Traha se aap Bahut hi Assani se apne Mobile Ka Volume Style Change Kar Sakte Hai. Aur Apne SmartPhone ke Volume ko ek New look de sakte hai. aur aapka koi sawal ho to niche Comment Box me Comment kare aur Aise hi New New Trick Pane ke Liye Telegram Channel Join karna na Bhule.


Read More Post...

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)