Aaj
is post me mai banate ja raha hu Mozilla Firefox me Website kaise block karte
hai.
Use pahle
mai aapko banata chahunga Google Chrome aur Internet Explorer me website kaise aur kyu block karte hai pahle hi bata chukka hu.
Mozilla
Firefox me bhi Website ko block karna bahut hi aasan hai. mai yaha Youtube.com block karne ke bare me batane ja raha hu
aapko jo bhi website ko block karna ho use lekar aap mujhe Step by step follow
kare.
Step 1 :----
Sabse
pahle aap Mozilla Firefox open kare. Uske baad upper Right side me Open Menu par click karke Ade-ons par click kare jaise ki
neeche pic me diya gya hai.
Step 2 :----
Ade-one
par click karne ke baad ek page open hoga.
1. Usme
Get Add-one
par click kare,
2. Phir
Serch Box me BlockSite
likh kar Serch kare,
Step 3 :----
Ab ek
new page open hoga usme Blocksite ko Install kare, jaise ki pic me diya gya hai.
Step 4 :----
Install
ho jane ke baad Mozilla Firefox ko Restart
kare.
1. Phir
Extensions
par click kare,
2. Uske
baad Options
par click kare,
Step 5 :----
Options
par click karte hi Blocksite Preferences
naam ka Popup window open hoga.
1. Yaha
par sabhi Enable functions ko mark
kare,
2. Phir
Add
par click karte hi ek window open hoga.
3. Usme
Youtube.com
likhe (Aapko jo bhi site block karna ho likh sakte hai),
4. Phir
OK
par click kar de,
5. Uske
baad blocksite preferences wala window me OK par
click kare.
Ab aapka
website block ho chukka hai.
_________________________________________________________
Firefox
Mozilla Me Website Ko Unblock Kaise Kare.
Jab bhi
aapko website unblock karna hoga same step karte jaye.
Mozilla Firefox >>
Open menu >> Add-one >> Extensions >> Blocksite me Options par
click karte hi ek Popup window open hoga.
1. Apna
website
select kare,
2. Remove par
click kare,
3. Phir
OK
par click kar de.
Ab aapka
website unblock ho chukka hai.
Mujhe aasha hai aapko samjh aa gya hoga agar kahi koi problam aata hai to neeche comment box me puche aur ye bataye ye post aapko kaisa laga....