Youtag Sponsor ID 48797

Google Chrome Me Website Kaise Block Kare



Isme aap janege Google Chrome Me Website kaise block karte hai.

To zayada baat na karte huye chaliye jante hai Google Chrome me website kaise block karte hai, yaha mai Twitter.com block karne ke bare me batane ja raha hu. Browser me Website block karna bahut hi aasan hai bs aap mujhe follow kare.

Step 1 :----
Sabse pahle aap apna Google Chrome Open kare, Open hone ke baad upper Right side me Customize and Control Google Chrome par click karne ke baad Setting par click kare. Jaise ki neeche pic me diya gya hai.


Step 2 :----
Setting par click karne ke baad ek page open hoga usme Show advanced setting par click kare.



Step 3 :----
Show advanced setting par click karne ke baad Change proxy setting par click kare.



Step 4 :----

Jaise hi aap Change proxy setting par click karnge to Internet properties naam popup window open hoga.


1.   Security par click kare,
2.   Uske baad Restricted Sites par click kare,
3.   Phir Sites par click kare,
Step 5 :----
Sites par click karne ke baad ek new window open hoga.


1.   Usme twitter.com type kare,
2.   Uske baad Add par click kare,
3.   Phir Close kar de,


Step 6 :----
Ab aapko Internet properties wala window milega usme OK par click kare.

Ab aapka Website Block ho chuka hai. Aap apne browser me open kar ke try kar sakte hai twitter.com open nahin hoga.

_____________________________________________________


Google Chrome me Website ko unblock kaise kare.

Aap website ko unblock karne ke liye same step ko follow kare.

Google Chrome >> Customize and Control Google Chrome >> Settings >> Show advanced settings >> Change proxy settings >> Security >> Restricted sites >> Sites

Sites par click karne ke baad ek new window open hoga.


1.   Yaha twitter.com select kare,
2.   Uske baad Remove par click kare,
3.   Phir Close kar de.

Apir aapko Internet Properties naam wala window milega waha OK par click kar de.
Ab aapka twitter.com Unblock ho chukka hai. Aapko ye post kaisa laga hame comment karke bataye. Aur Social site par share karna na bhule.

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)