Youtag Sponsor ID 48797

Mozilla Firefox Me Website Kaise Block Kare



Aaj is post me mai banate ja raha hu Mozilla Firefox me Website kaise block karte hai.
Use pahle mai aapko banata chahunga Google Chrome aur  Internet Explorer me website kaise aur kyu block karte hai pahle hi bata chukka hu.






Mozilla Firefox me bhi Website ko block karna bahut hi aasan hai. mai yaha Youtube.com block karne ke bare me batane ja raha hu aapko jo bhi website ko block karna ho use lekar aap mujhe Step by step follow kare.


Step 1 :----
Sabse pahle aap Mozilla Firefox open kare. Uske baad upper Right side me Open Menu par click karke Ade-ons par click kare jaise ki neeche pic me diya gya hai.



Step 2 :----
Ade-one par click karne ke baad ek page open hoga.



1.   Usme Get Add-one par click kare,
2.   Phir Serch Box me BlockSite likh kar Serch kare,


Step 3 :----
Ab ek new page open hoga usme Blocksite ko Install kare, jaise ki pic me diya gya hai.




Step 4 :----
Install ho jane ke baad Mozilla Firefox ko Restart kare.



1.   Phir Extensions par click kare,
2.   Uske baad Options par click kare,


Step 5 :----
Options par click karte hi Blocksite Preferences naam ka Popup window open hoga.


1.   Yaha par sabhi Enable functions ko mark kare,
2.   Phir Add par click karte hi ek window open hoga.
3.   Usme Youtube.com likhe (Aapko jo bhi site block karna ho likh sakte hai),
4.   Phir OK par click kar de,
5.   Uske baad blocksite preferences wala window me OK par click kare.

Ab aapka website block ho chukka hai.

_________________________________________________________


Firefox Mozilla Me Website Ko Unblock Kaise Kare.

Jab bhi aapko website unblock karna hoga same step karte jaye.
Mozilla Firefox >> Open menu >> Add-one >> Extensions >> Blocksite me Options par click karte hi ek Popup window open hoga.


1.   Apna website select kare,
2.   Remove par click kare,
3.   Phir OK par click kar de.

Ab aapka website unblock ho chukka hai.
Mujhe aasha hai aapko samjh aa gya hoga agar kahi koi problam aata hai to neeche comment box me puche aur ye bataye ye post aapko kaisa laga....


एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)