Youtag Sponsor ID 48797

Facebook Ka Auto Play Video Band kaise Karte Hai

Agar aap facebook chalate hai to aapko pata hi hoga facebook har roj kuch naya feature update karta rahta hai.

Usi me ek feature aaya hai Facebook Autoplay Video. Aaj-Kal ham facebook chala rhe hote hai to facebook par upload video apne aap chalne lagta hai. jiski wajha se hamara Data bahut jald khatm ho jata hai




To isme mai aapko bataunga isko band kaise karte hai bas aap mujhe follow kijiye, ise band karna bahut hi aasan hai


PC Par Facebook Autoplay Ko band Kaise Kare…


Step 1 :----
Sabse pahle Apne PC me Facebook account Login kare, Aur niche diye pic ke anusar Arrow par click kare, Us Arrow ko Privacy Shortcuts kahte hai





Ab ek new list khulegi us list me See More Settings par click kare,


Step 2 :----
Ab ek new page open hoga 




1.   Ab left side me sabse niche Video click kare.
2.   Ab isme aapko Do option melange Video Defult Quality aur Auto-play Videos, 
Isme aap Auto-play Video ke Defult par click karke Off kar sakte hai,



____________________________________________________________



Android Apps Par Facebook Autoplay Ko Band Kaise Kare…


Step 1 :----
Sabse pahle apne Mobile me Facebook App se login kare aur niche pick e anusar diye gye Icon par click kare jise Hamburger menu icon kaha jata hai,


Uske baad thoda niche jane par App Settings par click kare,



Step 2 :----
Ab setting me Video play automatically par click kare,





Step 3 :----
Ab yaha par ye pahle se hi ON rahta hai aap ise Off kar sakte hai



To hai na bahut hi aasan Facebook Auto-play ko band karna.

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)