Dosto
aaj ham is post me janege javascript ko apne browser me band kaise kare. Sabse pahle sawal ye hota hai ki JavaScript ko band kyu kare.
Kabhi-kabhi
aisa hota hai ki ham kisi website par Right Click karte hai to Right click nhi
hota hai, Agar right click ho bhi jata hai to ham us website se kuch Copy karna
chahte hai to Copy nahin kar sakte kyu ki aise site bahut hi Advance type ke
bane hote hai,
Agar
hame us site se kuch Copy karna ho to ham apne Browser me JavaScript ko band
karke us website se koi bhi word ko copy kar sakte hai.
Note :--- Agar ham apne Browser me JavaScript ko band kar dete
hai to bahut se Website open nahin ho sakte to jab hame iski zarurat ho tabhi
band kare aur phir kaam ho jane ke baad On kar de.
To Chaliye
jante hai ise band kaise kare.
Step 1 :----
Sabse
pahle Google Chrome open karke upper Right side me Customize
and Control Google Chrome par click ke Setting par click kare jaise niche pic me diya gya hai.
Step 2 :----
Setting
me jane ke baad Show Advanced settings par
click kare.
Step 3 :----
Show
Advanced settings par click karne ke baad Content
settings.. par click kare.
Step 4 :----
Content
settings.. par click karte hi ek popup page open hoga usme Do not Allow any site to run Javascript ko select
karke Done
par click kare.
Ab us
website par jakar kisi bhi word ko copy kar sakte hai.
Jab
kaam ho jaye uske baad same Step karke Allow all
site to run JavaScript (recommended) ko select karke Done kar de.