Hello Dosto agar aap Internet user hai to aap Youtube 100% dekhte honge, to ussi Youtube se releted aaj Ek Aisi Trick Share karne jar ha hu jiski madad se aap Youtube Video Minimize karke Play kar sakte hai. isse pahle mai Youtube Video ko Background meplay karne ke bare me bataya tha.
Ji ha agar aap youtube Video Minimize karke ya
Popup me chalane ke sath sath Dusra kaan bhi karna chahte hai to Is post ko
Pura padhe, aur bataye gye step ko follow kare.
Youtube Video Ko Minimize Karke Kyu Chalana Chahiye. ?
Jaise ki aapko pata hoga
ki jab aap Youtube Video ko dekhte hai us time Video dekhne ke sath aap apne
mobile me koi aur kaam nahin kar sakte, agar jaise hi aap Koi aur kaam karne
jayenge to aapka Video ruk jayega aur phir dubara play karna padega.
Aur jab bhi Youtube video chalta hai to Mobile Screen on rahta hai agar aap Chahte hai ki Video dekhne ke sath sath Koi aur kaam kare ya Screen ko Off karke Video chalaye to is Trick se Apni Problam dur kar sakte hai.
Youtube Video Minimize Karke Kaise Chalaye ?
Step 1: Float Tube Apps
Download Kare.
Sabse pahle aap Play Store se Float Tube Apps
Download kare. Aap niche diye gye Download Button par click karke Bhi Install
kar skate hai.
Step 2: Permission Enable
kare.
Apps Install karke Open kare uske baad Permission On kijiye. Niche diye image ko Follow kar sakte hai.
Step 3: Video Share karke
Play kare.
Aap Float Tube apps se Youtube video ko play karke dekh sakte hai, ya phir agar aap Youtube ke Official Apps se Youtube Video Minimize karke chalana chahte hai to Share par click karke Play by Float Tube Apps par click kare.
Step 4: Popup Video Play
Successfull.
Jaise hi Video play ho jaye to aap Youtube apps ko Minimize kar dijiye ab aap Dekh sakte hai ki Video Popup me play ho rha hai, jisse aap Apne hisab se Video ka size set kar sakte hai, aur Mobile me Video dekhne ke sath Dusra kaam bhi kar sakte hai. aur aap Screen ko Off kar dete hai to bhi Video Chalta rahega.
To dosto is Trick se aap Youtube Video Minimize
karke Play kar sakte hai, ab aap Mujhe niche Comment karke bataiye ye jankari
aapko kaisa laga agar accha laga ho to Social Site par Dosto ke sath share kare
aur Hamare Telegram Channel Ko Join kare.
Ye Post Bhi Padhe...
- Computer Me Pattern Lock Kaise Lagaye
- Windows 7 Ke Start Button Ka Icon Change Kaise Karte Hai
- Computer Ki Puri Jankari Kaise Dekhe Ek Jagha