Hello Dosto Namaskar Main Hu Chakradhari Kumar Aur aaj ke Is Post me aapko batane wala hu Google Opinion Reward Kya hai. Google Opinion Reward Se Paisa Kaise kamate hai. bas aap Iss Post Ko pura Padhe jisme mai iske bare me Puri jankari Share karunga.
Google Opinion Reward Kya hai ?
Google Opinion reward Google Ki Survey Karwane wali
Service hai Jo ki March 2012 ko Google ne Web page par lounch kiya tha phir
kuch saal ke baad play Store par Apps Lounch kar diya. Waise Abhi Ye Apps kuch
hi desh me Available hai usme se ek hamara Desh India bhi hai.
Google Opinion Reward ka matlab sidhe Saral bhasha me kahe to Opinion ka matlab hai hai Apni Ray Dena, Aur Reward Ka matlab hota hai point. To Google Opinion Reward aapse Kuch Survey karwa kar aapka Ray lete hai Aur badle me aapko Kuvh Point dete hai.
Google Opinion Reward Me Account Kaise banaye.
- Sabse pahle Play Store se Ya Yaha Click Karke Apps Install kare
- Apps ko open Kare aur Apna Gmail Id Select kare
- Terms of Service ko Accept Kare
- Account Setup me Apna Naam, Post Code, aur Country Select kane ke baad Continue kare
- Apni Age Select karke Continue Kare
- Apni Gender Select Kare
- Bhasha Select karke Continue kare
- Turn on Location History? Me Get Started ya No Thanks Select kare
Google Opinion Reward Se Paisa Kaise Kamaye.
Jaisa ki Maine aapko bataya Ki Google Opinion Reward ek
Survey karwane wali service hai, jiske pass Bahut se Company wale Apna Survey
karwane ke liye Google Opinion ke pass jate hai aur Logo se apni company ke
bare me Survey Ya Feedback lene ke liye bolte hai.
Google Opinion Reward Ka Use Kaise Kare.
Ab aapke Samne kuch bahut hi aasan sawal Puche jayenge Jaise ki Niche Image me dekh sakte hai aapko Uska Sahi Answer Dena hota hai.
Jab aap Sawal ka jawab Sahi sahi denge to aapko 3 Rupya se lekar 20 Rupya tak milega. Jaise aap Aap Mera Reward History Niche dekh sakte hai.
Google Reward Ka Upyog Kaise kare.
- Ab mai aapko bata du isme job hi Paisa aapko Milega uska Upyog aap Sirf Google Play Store se Paid Apps, E-Book, kharidne ke liye kar sakte hai
- Survey aane ke time Fix nahin rahta wo Kabhi bhi Aa Sakta hai, agar aapka Location On Rahta hai to Survey aane ke zayada Chance rahta hai
- Survey me aapko jitne paise milenge usks Use 1 Saal ke Ander Use karna hai nahin to 1 saal baad paisa Kut jayega
- Survey karte time agar aap Galat Answer dete hai to aapko Point kam milega to aap Sahi Answer dijiye
- Survey me aapke Zindagi se Releted hi sawal Pucha jata hai jaise ki aap kaha gye the, Internet par Search kiye, Youtube par kaun sa Video dekhe Etc