Youtag Sponsor ID 48797

YouTube Video Ko Background Me Play Kaise Kare

 

Namaskar 🙏 Dosto Main Chakradhari Kumar ek baar phir se Suwgat karta hu HindiMeTrick.Com Main. Aaj ke iss Post me main aapko bataunga ki aap Youtube Video Ko Background Me Play Kaise kar sakte hai. 

YouTube Video Ko Background Me Play Kaise Kare

Youtube Video Ko Background Me Play Kyu kare..?

Sabse pahle sawal aata hai ki Youtube Video Ko Background me Play kyu karte hai.. ? Bahut baar aisa hota hai ki Youtube par Song sunte hai ya koi Motivation speech Sunna chahte hai to aise me Mobile ka Screen on rahta hai Aur jaise hi ham Screen ko off karte hai to Video chalna bhi band ho jata hai aur jab Video Chalta rahta hai to Hamare Mobile Phone ka Battery bahut jaldi Discharge ho jata hai.


lekin ham Chahte hai ki Hamara Mobile Screen Off rahe aur ham apna kaam karte huye bhi youtube se Song sunte rahe, to iske liye aaj mai aapko aise Trick batane wala hu jisse aapka Screen Off rahega, Battery jaldi Discharge nahin hoga aur ham Song ko sun bhi sakte hai. to chaliye jante hai YouTube Video Ko Background Me Play Kaise karte hai. aap mere bataye gye kuch Step ko Follow kare.

Youtube Video Ko Background Me Play kaise kare

Step 1 :--- Sabse pahle aap apne Mobile Phone me Google Chrome Open Kijiye. Aur YouTube search karke Open kijiye uske baad ≡ 3 Dot par click karne ke baad Desktop Site par click [√] kijiye jaise niche diye pic me aap dekh sakte hai.

3 Dot ke baad Desktop Site par click kijiye

Step 2 :--- Ab aapke same Youtube Desktop Version me Open ho gya hoga ab aapko jo Bhi Song sunna ho ya aap Jo sunna chate hai usko search karke Play kijiye. Main yaha Sandeep Maheshwari ka ek Motivation Speech play kiya hu.

Video Play kare


Step 3 :--- Jaise aap video play ho jayega aap Apne Mobile Phone me Minimize button press kijiye aur Home page aa jayega ab aap Notifacation baar ko Slide kijiye waha aapko Video play karne ka Options mil jayega waha se Video ko Play kijiye.

Notifacation Slide Se Video Play kare

To iss traha se aap 
YouTube Video Ko Background Me Play Kar sakte hai. ummid karta hu aapko ye trick pasand aaya hoga agar pasand aaya hai to apne Dosto Ke sath Social Media par Share Karna na Bhule. Agar aapke mobile me Ye Trick kaam nahin kar raha hai to aap Nicche Comment Box me Comment Kijiye to jaldi se main aapke sath dusra Trick Share karunga. Dhanyawad

Ye Post Bhi Padhe...

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)