Namaskar Dosto Hindi Me Trick Me aapka Phir Se Suwagat hai Mai Hu Chakradhari Kumar Aur aaj Ke iss Post Me mai aapko WhatsApp QR Code ke bare me batane Wala hu WhatsApp QR Code Kya hai. WhatsApp QR Code Ka Use Kaise karte Hai.
Dosto aapko to pata hi Ki Duniya ka sabse Papular
Massanging Apps WhatsApp hai. Aur WhatsApp Hamesa Se kuch na Kuch New Upadte
lata rha hai Aur WhatsApp ko Aur Behtar banate ja raha hai.
To ussi Update me Ek New upadate aaya hai jo Hai WhatsApp QR Code. Jo ki bahut hi Usefull hone wala hai, To issi ke bare me aaj ham Is Post me Janenge to aap is Post ko pura padhe.
WhatsApp QR Code Kya Hai. ?
Jaisa ki aapko pata hoga aaj kal kisi bhi Details ka QR
code bana diya jata hai jisko Scan karke uska Sabhi Details check kar sakte. Ya
phir aapne bahut se Shop Store me Paytm, Phonepe, Google Pay etc ka QR code ka
Stand rakha dekhte honge jisko Scan karkle ham Shop wale ko Digital Pay karte
hai.
Ussi Traha WhatsApp ne Aapke WhatsApp Profile Ko Scan karne ke liye QR Code ka new Upate laya hai, jisko Scan karke Ab Koi bhi aapka Number Save kiya bina aapko Direct Massage kar sakta hai.
WhatsApp QR Code Kaise Nikale. ?
Step 1: WhatsApp Ke
Setting Me Click kare.
Sabse pagle aap WhatsApp Open kare Aur 3 Dot Par click
Karne ke baad Settings Par Click kare.
Step 2: Profile ke Right
me QR Code par click kare.
Ab aapke WhatsApp Ka Profile Show hone lagega ab aap apne Naam ke Samne QR Code Par click kare.
Step 3: QR Code Scan kare.
Ab aapke Samne aapke Profile Ka QR Code Show Hone lagega waha Se koi bhi Code ko Scan karke aapko Direct Massage Send kar sakta hai. aur Sacn code par click karke aap Kisi Aur Ka Code Scan kar Sakte hai.
WhatsApp QR Code Ka Use Kaise Kare. ?
jaise ki aap apna Mobile Number dete the aur wo aadmi
aapka Number Apne Mobile me Save karke aapko Massage karta tha lekin ab aisa
karne ki zarurat nahin hai kyuki is Upadte ke aane se ab ye bahut hi aasan ho
gya hai. ab koi bhi aadmi aapke QR code ko scan karke aapko Direct massage kar
sakta hai.
Ab aapko sirf apna QR Code usko dikhana hai aur wo
aadmi aapne Mobile se aapke QR Code ko Scan karke aapko Massage kar sakte hai.
Is QR code ka Aap Print Out nikal kar Apne Shop par
laga sakte hai jisko Scan karke wo aapse Direct Chatting kar payega. Is QR Code
ko aap Kisi ke bhi Sath Share kar sakte hai,
Jaise hi aap Apna WhatsApp QR Code open karenge
waha se aapko Share karne ka Option mil jayega jaha se aap Facebook, WhatsApp,
Instargram, Twitter Etc Social Site par share kar sakte hai waha Se koi bhi
Code ko Scan Karke aapse Direct Chat Kar Payega.
To Dosto mujhe Ummid hai WhatsApp ka New Update WhatsApp QR Code ki jankari aapko Accha laga hoga to ab Aap isse Apne Dosto ke Sath Social Site par Share kijiye aur Aise hi New Update pane ke liye hame Social Site par Follow kijiye.
Read More Post...
- Mp3 Song 8D Sound Me Kaise Sune
- Mobile Volume Style Change Kaise Kare
- WhatsApp Ke Personal Chat Ko Lock Kaise Kare