Youtag Sponsor ID 48797

PNB Internet Bank Ka Password Forget Kaise Kare

 

Hello Dosto agar aapke pass PNB ka Bank Account hai Aur aapne Internet Banking Activate kiya hua hai aur Login Password bhul gye hai to aaj ke Iss Post me ham Janenge Ki kaise App Apne PNB Internet Bank Ka Password Forget Karenge Kaise Aap usko Reset karke New Password bana Sakte hai aur lnternet Banking me Login kar Sakte hai.

 

PNB Internet Bank Ka Password Forget Kaise Kare

Aur agar aap Transaction Password ko Bhul gye hai to Sath me ye bhi janenge ki kaise aap Transaction Password Ko Forget karte hai. bas aapko Mere bataye gye Step Ko Follow karna hai uske baad bahut hi Aasani se PNB Internet Bank Ka Password Forget Kar sakte hai.

Aur agar aapne abhi tak PNB Internet banking chalu nahin kiya hai to iss post Ko padh kar Bahut hi aasani se PNB net Banking Chalu kar sakte hai. PNB Bank Me Internet Banking Activate Kaise karte hai uske bare me bataya hai.

PNB Internet Bank Ka Password Forget Karne ke liye Kin Chijo Ka Hona zaruri hai ?


PNB Internet bank ka Password Forget Karne ke liye aapke Pass Laptop/Computer, Internet Conaction, Debit Card, Atm Pin, Aur Bank Account Number Hona Chahiye, Agar aapke pass Laptop Nahin hai to aap apne Mobile se hi Forget Kar sakte hai. To Chaliye ab Jante hai Password Ko Reset kaise Karte hai.


PNB Internet Bank Ka Password Forget Kaise Karte Hai ?

Step 1: PNB Ka Website Open Kare.

Sabse pahle aap PNB Ka Offical Website Google me Search Kare Ya Niche Niche Diye Link Par click Karke Open Kare.

Go To PNB Official Website


Step 2: User Id ke baad Continue kare.

Website Open hone par Retail Internet Banking par click karne ke baad Next Page me User ID Submit karke Continue Par Click kare.

User ID Submit Karke Continue Kare


Step 3: Forget Password Par click Kare.

Continue Karne ke baad Next page par Buttom Side me Forget Password par click Kare.

Forget Password Par Click Kare

Step 4: User ID daal ke Submit kare.

Forget Password Par click Karte hi Online Password Re-set Ka page Open hoga, usme aap Apna User ID dalne ke baad Submit Par click Kare.

User ID Submit kare


Step 5: OTP Verify Kare.

Submit ke baad OTO Verifaction ka Page Open hoga usme Aap OTP Submit Kare jo ki Aapke Bank me Registerd Mobile Number par aaya hoga usk baad Continue par click kare

OTP Submit Karne ke baad Continue Kare


Step 6: Account Number aur ATM Details Submit kare.

Next page me aap apna Debit Card Number, Linked Account Number, Aur Atm Pin Submit karne ke baad Continue Par click kare.

Debit Card Details Submit ke baad Continue Kare


Step 7: Password Create Kare.

Continue karte hi Next page me Aapse New password Create karne ko bola jayega.

New Password Submit ke baad Continue Kare

  1. Yaha se Aap Jo bhi Password Re-set karna chahte hai uspar Tik (√)  kijiye, jaise Login password Ya Transaction Password
  2. Yaha par Login Password Me Apna Strong Password Type aur Phir Retype kare. Ex.- Abch18793@&*
  3. Yaha par Transaction Password Type karne ke baad Phir Retype kare
  4. Uske baad Finally Continue par click kare

Step 8: Password Change Successfully.

Ab aapke samne Password Change Successfully Ka page Open ho jaegega, iska Matlab Aapke PNB Internet Bank Ka Password Forget Ho chukka hai. ab Login karne ke liye Go To Login Page par click karke Apna Internet Banking account Login Kar sakte hai.

Password Changes Successfully

To Is Traha se Aap Bahut hi aasani se PNB Internet Bank Ka Password Forget kar Sakte hai. aur apne Internet Banking me Login kar sakte hai, agar iss Post se Releted Koi sawal ho to Niche Comment kare. Aur Sath bhi Hindi Me Trick Ka Telegram Channel Join kare.

Ye Bhi Padhe....

Tags

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)