Youtag Sponsor ID 48797

Mobile Me Saved Password Kaise Dekhe

 

Dosto aaj mai aapko Aisi Trick bataunga jiske madad se Aap Apne Mobile Me Save Password dekh sakte hai, Jaisa ki aapko pata hoga ki Aaj ke jamane me Lagbhag Sabhi Mobile me Gmail Account login rahta hai


Aur jab aap Us Mobile me kisi Website me Account banate hai to Ek Popup open hota jisme pucha jata hai kya aap Password Save karna chahte hai to Aise me bahut baar ham Allow kar dete hai Aur Password Saved Ho jata hai.

Aur agar aap kisi Website me account banane ke baad Password bhul gye hai to iss Trick ke madad se bahut hi aasani se Mobile Me Save Password ko dekh sakte hai. Aap mere bataye Step ko Follow kare


Mobile Me Saved Password Kaise Dekhe

Yaha Mai aapko Laptop me Password Show karke dikhane wala hu aap chahe to Mobile me Bhi follow kar sakte hai bahut hi aasani se.


Mobile Me Saved Password Ko Kaise Dekhe.


Step 1: Google Password manager Open kare.

Sabse pahle aap Google me Search kare Google Password Manager, ya phir niche diye gye Link Par click karke Open kar sakte hai, jo ek Google ki Service hai.

Go To Password Manager


Step 2: Check Passwords par click kare.

Password Manager ka Website Open hone ke baad Check Passwords Par click kare.

Check Password par click kare

Step 3: Check Passwords Button par click.

Check Passwords par click karne ke baad Password Checkup ka Page open hoga usme Check Passwords button par click kare.


Check Password Par Click Kare.


Step 4: Google Account Login kare.

Button par click karne ke baad Google Account Login karne ke liye Bola jayega jisme aap Ussi Google Account ko Login kare jo aapke mobile me Pahle se Login ho.


Email ID & Password Ke Baad Next par click kare


Step 5: View Password par click kare.

Google Account Login Hone ke baad Password List me jis bhi Website Account ka Password dekhne ho uske samne Tin dot (≡) par click kare uske baad View Password par click kare.

View Password Par click kare


Step 6: Show Password.

View Password par click karte hi ek Popup Open hoga Usme Mobile Me Save Password ko dekh sakte hai. 


To Dosto Iss Traha se Mobile Me Save Password Ko bahut hi aasani se dekh sakte hai. iss post se Releted aapka koi sawal to ho comment Box me Puch sakte hai aur Sath Me Ye bhi bataye ki aapko Ye jankari kaisa laga.


Read Also....

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)