Youtag Sponsor ID 48797

MicroSoft Office Me Password Kaise Lagaye



Namaskar 🙏 Dosto main Chakradhari Kumar Thakur aur aapne Visit kiya hai HindiMeTrick.Com ! Dosto isse pahle maine MicroSoftOffice Ko PDF Me Save karne ke bare me bataya tha aaj ke iss Post me aapko batane wala hu ki MicroSoft Office Me Password Kaise Laga sakte hai.

Agar aap MicroSoft Office Me Password lagana nahin jante to mere dwara bataye gye kuch Simple Step ko follow kijiye.

MicroSoft Office Me Password Kaise lagaye

 

MicroSoft Office Kya Hai.

MicroSoft Office ek Computer Software hai jiske dwara Office ke Lagbhag sabhi kaam kiye jate hai. jaise ki Suchi taiyaar karna, Database Taiyaar karna, Ducoments Taiyaar karna , aur bhi bahut se kaam kiye jate hai. isko MicroSoft Company ne banaya hai,


iske alag-alag kuch Software hai jisme alag-alag kaam kiye hai jaise ki MicroSoft Excel, Groove, Infopath, OneNote, Outlook, PowerPoint, Publisher, Word, ETC. Ye alag alag Time par New version me Update hota raha hai jaise ki Office 95, 2000, 2003, 2007, 2010, 2013, 2016, aur Sabse Letest Office 2019.


Aaj mai aapko Office 2007 me Password lagane ke bare me bataunga, lagbhag sabhi Office me same ek Jaise hi Password lagaya jata hai.

MicroSoft Office Me Password Kyu Lagate Hai

Bahut baar aisa hota hai ki hamari kuch Important Chjije, Ducoment, List, ETC agar aise Ducoments ko aap Safe and Secure rakhna hai , aur aap chahte hai hamare Ducoment ko koi Open na kare, Dusro ke sath Share na kare to aise me aao MicroSoft Office Me Password Laga kar uske Safe rakh sakte hai.


{Note :-- MS Office ke Password ko Lagane ke baad Hamesa yaad rakhe kyuki MS Office ke Password ke Recover nahin kar sakte hai.}


MicroSoft Office Me Password Kaise lagaye

Step 1:--- Sabse pahle aap MS office me apna Ducoments taiyaar kar lijiye uske baad Office Ke Home Button par click kijiye. Uske baad Save As par click kijiye.

Save As par click kare

Step 2:--- Save As par click ke baad Open window me Ducoments ko Jis Maam se Save karna hai usko likhne ke baad Tools par click kijiye phir General Options par click kijiye. Niche diye gye image me dekh sakte hai.

Tools Ke Baad Genral Options par click kare

Step 3:--- General Options ke baad New Window open hoga usme Password Submit kijiye.

Password Submit Kare

  1. Yaha par apna Password submit kijiye.
  2. Phir OK par click kijiye
  3. Ok par click ke baad ek aur PopUp window open hoga usme apna Password Dubara Submit kijiye
  4. Ab Last me OK par click kijiye

Step 4:--- Ab aap pichle Window me jaha par aapne Ducoments ka Naam likha tha waha Save par click kar dijiye.

Save Par click kare

Ab aapke MicroSoft Office Me Successful Password lag gaya hai. aap apne Save kiye huye Ducoments ko Open kake Check kijiye. Waha aap Apna Password Submit karne baad open kar sakte hai.

Password Ke baad OK inter kare

Agar aapko password ko remove karna ho to uske liye bataye gye sabhi Step ko Follow kijiye. Aur jaha par Password Submit kiya tha us Paasword ko Remove karke Save And Ok Par click kar dijiye.

Ab to aap Samjh hi gye honge MicroSoft Office Me Password Kaise Lagate hai. agar aapko ye jankari accha laga ho to apne Dosto ke sath Share kijiye, aur aapka Koi sawal ho to Niche Comment karke puch sakte hai. Aur aise hi New Update pane ke liye aap hamare Hindi Me Trick ka Telegram Chennel Join kijiye

Read More Post Also...

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)