Youtag Sponsor ID 48797

Lockwatch App Kya Hai. Lockwatch App Kaam Kaise karta hai

 

Dosto aaj ke iss Post Me janenge Lockwatch Kya hai ? Lockwatct Apps Kaise Kaam karta hai, In sabhi sawalo ke jawab aapko Iss Post me milenge. Is Trick Ka use karke Aap Apne Mobile Chori karne wale Ko Dekh sakte hai, Ya Chori hone Se bacha Sakte hai.


Is Apps ke madad Se aap Phone Chori karne wale ko pakad sakte hai, to chaliye Lockwathch ke bare me puri jankari lete hai Lockwathch Kya hai, Lockwatch Apps Kaisekaam karta hai, Iss Apps ko Activate Kaise Kare.


Lockwatch App Kya Hai. Lockwatch App Kaam Kaise karta hai

Lockwatch Kya Hai ?

Lockwatch Ek Android Apps hai Jiska Pura naam Hai Lockwatch – Anti-Theft jo 1 MB se bhi kam ka Apps hai. jisko Apps Bahut hi Aasani se Google Play Store se Download Kar sakte hai, aur Apne Mobile ko Secure kar Sakte hai. ye Apps sirf Uss Time kaam karta Jab koi aapke Mobile Me galat Pattrn daal deta hai, Ya galal Password dalke mobile ka Lock Khone ka kosis karta hai.


Lockwatch Apps Kaise Kaam karta hai. ?

Dosto aaj ke jamane me lagbhag Sabhi ke pass Smartphone hai, aur Sabhi apne phone me apna Kuch Personal data rakhte hai aur Mobile me lagbhag Sabhi log lock laga ke rakhte hai lekin uske baad bhi bahut se log aapke Mobile ka lock kis bhi Traha kholke aapka Data dekh lete hai aur aapko pata bhi nahin chalta.


To aise me aap Lockwatch Apps ke madad se pata laga sakte hai ki kaun aapka Mobile ka Lock Kaun khola tha. Aise me agar koi aapke Mobile ka Lock Kholte time kabhi bhi koi galat Password dalta hai ussi time Ye apps Aapke Front Camera se photo click kar leta hai aur aapke Email Id par send kar deta hai.


Agar aap iss Apps ka Use karenge aur kabhi Aapka Mobile Gum ho jaye ya Chori ho jata hai uske baad Jab koi aapke Mobile Ka lock khone ke liye galat Pattern dalega tab aapke Email Id par uska Photo aa jayega aur Mobile me Location On hoga to Location Ka bhi pata chal jayega. Iss Traha se aap Mobile chori karne wale ko pakad sakte hai.


Lockwatch Apps ko Activate Aur Use Kaise Karte hai.


Step 1: Lockwatch Apps Install Kare.

Sabse pahle Aap Play Store se Lockwatch- Anti- Theft Apps Install kare, Niche diye gye link par click Direct Download kar sakte hai.

Download Kare


Step 2: Send Alert Email Permisssion ko On kare.

Apps open karke ke baad Send alert Email par click kare uske baad Permission Required me OK par click kare.
Send Alert Email Permisssion ko On kare

Step 3: Activate this device admin.

Ok par click karne ke baad jo Option aayega usme Activate this device admin app par click karke Activate kare.
Activate This device Admin App


Step 4: Permission Allow Kare.

Uske baad aapse Kuch Permission puchega usko Allow kar dijiye.


Permission Allow Kare


Step 5: Email Id Select kare.

Ab apps me Diye gye Emails should be send to par click karke Email id select kare uske baad OK par click kare, aapke Mobile me jitne Email Id Login hoga sabka List Open ho jayega. Usme se kisi ko select kare Jis Email Account par Password kholne wala da photo dekhna chahte Hai.

Email Select kare


Step 6: Photo Aur Location Dekhe.

Ab Lockwatch Apps aapke mobile me Activate ho chukka hai, ab jab bhi koi aapka mobile use karne ke liye galat Pattern use karega uss time uska Picture Click hoke aapke Email Id par send ho jayega, jisse aap apne Gmail Id Check kar sakte hai.

Aapke Gmail Account me Lockwatch Alert ke naam se mail aayega. Aur agar aapka Mobile koi chura leta hai aur Sath me Mobile ka location on hoga to uske Photo ke sath uska Location ko bhi aap Dekh sakte hai. aur Mobile chori karne wale ko aassni se pakad sakte hai.

Photo Aur Location dekhe

Note :--- Lockwatch App bahut Se Mobile me Propper Work nahin karta hai isliye Try kijiye Work kiya to thik hai nahin to koi baat nahin

 

To Dosto ab to aap Samjh hi gye Honge ki Lockwatch Apps Kya hai aur Lockwatch Apps kaise Kaam karta hai. to iss Traha se is trick ka use karke Aap apne Mobile ke Security badha sakte hai. aur Mobile chori karne wale chor ko pakad sakte hai.

Ab aap Mujhe Niche Comment karke bataiye ki ye Jankari aapko Kaisa laga aur accha laga ho to Social Site par Apne Dosto ke Sath Share kare. Aur Aise hi New Upadte Facebook par Pane ke liye Hamare Hindi Me Trick Ka Telegram Channel Join kare.

Ye Post Padhe....


एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)