Youtag Sponsor ID 48797

Landline No Ko WhatsApp Se Add Kaise Kare

 

Hello friends Namaskar 🙏 Mera Naam hai Chakradhari Kumar Aur aapne Visit kiya hai HindiMeTrick.Com Aaj ke Article me mai aapko batauga ki aap apne Landline No. ko WhatsApp se add Kaise kare.

Landline No Ko WhatsApp Se Add Kaise Kare

Jaisa ki aapko pata hai Aaj pure World me WhatsApp se use kiye jane wala Sabse papular apps hai kyuki Chatting Karne ke liye, Audio, Images, Ducomantes, bhejne ke liye Isse behtar Apps koi aur nahin hai. 


WhatsApp me hamesa Kuch na kuch New Update aata rahta hai jaise ki ab hame Voice call ke sath Sath Video call bhi kar sakte hai. Aur aage WhatsApp me aapko bahut se Update milte rahege Lekin aaj ham baat Karne wale hai Ki kaise Ham Landline No. ko WhatsApp se Add kaise karte hai.


Aaj ke jamane me bhi aap me se bahut se log apne Bussness office , Shop me Landline Number use karte hai aur aap chahte hai ki Whatsapp se sabhi update apne Costumer tak pahuchye to chaliye ham aapko batate hai ki kaise Landline No. Ko WhatsApp se add karte hai Aap hamare bataye gye Step Ko follow kijiye.


Landline No Ko WhatsApp Se Add Kaise Kare

Step 1:--- Sabse pahle Play Store se WhatsApp Or WhatsApp Business Apps Install kijiye. Niche diye Link par click karke bhi aap Install kar sakte hai.


WhatsApp Messenger

WhatsApp Business


Step 2:---WhatsApp install karne ke baad Open kijiye Agree And continue Par Click kijiye.


Step 3:--- Ab India Select Kijiye aur STD Code se sath Landline Number Submit karke Next Par Click Kijiye.

Step 4:--- Uske baad Aapko OTP code ka Zarurat padega Jo WhatsApp ko verify karta hai jo Direct Mobile No par code aa jate hai lekin yaha aap Landline No use kar rahe hai to Code nhi aayega uske liye aapko 1 min.. ka wait karna hoga

uske baad Call me Par click karna Hoga uske baad aapne Landline no par ek call aayega jisme aapka OTP code bataya jayega Uss Code ko Submit karke Aap OTP verify kar sakte hai.

To is traha se aap Landline No. ko WhatsApp se add kar sakte hai. Aaj ke liye bas itna hi milte hai Next Article me ek New jankari ke sath, agar aapko ye jankari accha laga ho to apne Dost ke Sath Social media par share kare. Aur niche Diye gye Comment box me apna sujhao dijiye.


Read More Post ...

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)