Youtag Sponsor ID 48797

Computer Se Whatsapp Massages Aur SMS Ka Reply Kaise Kare

 

 

Dosto aaj ke is post me mai Aapko bahut hi kamal ka Trick batane wala hu jisse aap Apne Computer Se Whatsapp Massages Aur SMS Ka Reply kar sakte hai aur Sath se apne Mobile ke sabhi Notifacation ko bhi apne Computer, Laptop par dekh sakte hai wo bhi bina apne Mobile ka use kiye.

Ham me se bahut se Aise log hai jo pure din Office me Computer par apna Work karte rahte hai aur us time unke mobile mobile par koi massage aaye to uska Reply karne me Problem aata hai. To Sochiye aapko koi aisa Trick mil jaye jiske help se Mobile ke bina aap Apne Computer se Whatsapp Massages Aur SMS Ka Reply Bahut aasani se kar sakte to kitna Accha hota..?


Computer Se Whatsapp Massages Aur SMS Ka Reply Kaise Kare

To aaj Mai aapko ek aise Application ke bare me batane wala hu uska Naam hai PushBullet. Ye ek Application aur Web Browser hai jiski madad se aap apne Mobile ke sabhi Notifacation ko apne Computer me dekh sakte hai. 

To ab iske bare me zayada baate na karte huye chaliye jante hai ye Work kaise karta hai aur kaise aap Computer se Whatsapp Massages Aur SMS ka Reply kar sakte hai. Iske liye aap mere bataye gye Step ko follow kare.


Computer se Whatsapp Massages Aur SMS Ka Reply Kaise Kare

Step 1:--- Ye Apps iOS aur Android par Uplabdh hai. Agar aap iOS user hai to sabse pahle Apne iOS Apps Store se Pushbullet Apps Install kijiye aur Agar Android User hai to Play Store se ya Yaha click karke Pushbullet – SMS ON PC Apps Install kar lijiye.


Apps Install karne ke baad Open karke Apne Google Ke Email-ID se Login kijiye uske baad Aapko Kuch Option milega Usko Allow Kar dijiye.


Step 2:--- Ab aapko Apne Computer ke Browser me kuch Setting karna hoga. Sabse pahle aap https://www.pushbullet.com/ ki website open kare aur Apne Ussi Google Account ke Email-ID se Login kijiye jis Email-Id se aapne Mobile se Login kiya hai. Pushbullet Apps ke Extension bhi hai jisko aap apne kisi bhi Browser me add karke login kar sakte hai. Jaise ki Chrome, Firefox, Safari, Opera, Windows,


Mai yaha aapko Google Chrome me Extension add karne ke bare me bataunga, jab aap Puchbullet ke Website open karenge waha aapko jis bhi Browser ka Extension chahiye waha se Direct click karke Add kar sakte hai, Chrome me add karne ke kiye aap Yaha Click Kare. Uske baad Add To Chrome Par click kare.

Add to Chrome

Step 3:--- Add to Chrome par click karne ke baad aapka Extension Download ho jayega, uske baad ek Popup page open hoga usme Add Extension Par click kar dijiye. Extension aapke Chrome me add ho jayega.

Add Extensaion

Step 4:---  Ab aap Niche diye gye Pic ke Anusaar Google Chrome me Upper Right Side me Pushbullet par click kare. Uske baad Sign up on Pushbullet.com par click kare.

Sign Uop To Pushbullet

Step 5:--- Ab aapke samne ek Page open hoga jisme Sign In With Google  par click karke aap Apne Google Account se login kare, agar aap apne Facebook Account se bhi login kar sakte hai. Dhyan rahe Phir aapke Mobile me me Pushbullet Facebook Account se hi login hona chahiye.


Sign in to Pushbullet

Step 6:--- Sign In karte hi aap Pushbullet ke Home Page open ho jayega ab aapko isme Kuch Setting ko Follow karna hai. Jaise ki Niche diye gye pick e aunsar Set up Your Phone par click kare uske aap 9 step aayenge sabhi me Next, Done. Next Par click karte jana hai.

Set up Your Profile

Step 7:--- Ab aapka Sabhi Setting Confrom ho gya hai ab aapke samne Congratulations, You Are a Pushbullet expert! Show karega. Ab aapko Simple I’m Done! Par click kar dena hai.

I Am Done

Ab aapke mobile me aane wale sabhi Notifacation aapke Computer, Laptop me Show karenge. Aur ab aap Aapke mobile me aane wale Sms ko bahut aasani padh sakte hai aur uska reply bhi kar sakte hai. To aap is Trafa se Apne Computer se Whatsapp Massanges Aur SMS ka Reply bahut hi aasani se kar skate hai.


Dosto ab aap Niche comment Box me comment karke bataiye ki aapko ye Jankari kaisi lagi. I Hope acchi lagi ho to Apne Dosto ke sath Social Media par share kare. Agar aapka Is Article se releted ya aur Bhi koi sawal ho to Comment box me apna sawal puch sakte hai.


Read More Post ....

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)