Dosto mai apne Pichle post me Computerke kuch Setting ko karke Internet Fast karne ke bare me bataya tha Aaj
mai aapko Computer ke Auto Run Program ko Stop karne ke bare me batane
wala hu jisse aapka computer fast work karne lagega.
Jaisa ki Aap logo ko to pata hi hoga ki jab bhi ham Computer Use karte hai to bahut se Aise Program hote hai jo Background me Auto run karte rahte hai aur hame iske bare me kuch bhi pata nahin chalta aur is problem ke wajha se hamara Computer slow work karne lagta hai yaha tak ki hamara Computer Hang bhi karne lagta hai jiski wajha se Computer ko Format karna padta hai.
To iske bare me ham zayada baat na karte huye Chaliye jante hai Computer Me Auto Run Program ko Stop Kaise Karte Hai bas aap is Post ko Carefully padhiye aur kuch Step ko Follow karke Apne Computer ko Fast kar sakte hai.
Computer Me Auto Run Program ko Stop Kaise Karte Hai
Step 1 :--- Sabse
pahle aap Apne Computer ke Start Button par click karke Search box
me Type kare Msconfig.exe aur Inter press kijiye. Agar aap Windows 8. 10
use karte hai to Windows+R press kijiye aur jo Run Command open
hoga usme Type kijiye Msconfig.exe aur Enter kijiye.
Step 2 :--- Jaise
hi aap Enter press karenge to ek New Windows open ho jayega ab usme aapko kuch
Setting karna hai.
- Program Ko Unmarke karke OK par click kare
- Uske baad yaha se aapko jis-jis program ko off karna hai uspar unmark kijiye. Yaha aap Dhyan se ussi program ko Unmark kijiyega jisko off karna zaruri ho.
- Unmark karne ke baad Apply par click kijiye.
- Aur Last me OK par click kijiye.
Step 3 :--- Jaise
hi aap Ok par click karenge phir ek Windows open hoga usme Restart par
click kijiye. Ab aapka Computer Off hone ke baad On ho jayega aur aapka
Computer Fast work karne lagega.
To is traha se aap Apne Computer ke Auto Play
Program Ko Stop karke Apne Computer ko fast bana sakte hai.
Mujhe ummid hai aapko ye jankari acchi lagi hai to ab Social Site par Share kijiye aur is traha new update Direct apne Facebook par pane ke liye aap hame Social Media par Follow kar sakte hai
Read More Post...