Dosto aaj mai aapke liye ek aise Trick lekar aaya jiske bare ki bahut kam log jante hai is Trick me Madad se aap Android Apps ka Naam Aur Icon Change Kar sakte hai.
Aapko to pata hi hoga ki Android apps ka Icon hamesa Defult hi rahta hai mera kahne ka matlab ye hai ki Company apne apps ka jo icon bana kar deti hai hamesa wahi rahta hai lekin internet ki Duniya me Aisi-Aisi Trick hai jiski madad se Ham Kisi bhi Android Apps ko Apne Hisab Se costomize kar sakte hai.
Is trick ko use karne ke liye hai Mobile Root
karne ke zarurat nhi hai aap Unroot mobile me bhi is trick ko bahut aasani se
use kar sakte hai. To Chaliye jante Android Apps ka Naam Aur Icon Change
kaise karte hai.
Android Apps Ka Naam Aur Icon Change Kyu Kare
- Agar aap Apps ke Naam aur icon se Bor ho chuke hai to change kar sakte hai.
- Apps ka Naam aur Icon change karke aap Apne Dosto Ko Confused kar sakte hai.
- Apps ke icon ko change karke apna Photo bhi laga sakte hai aur apne Dosto ko Impress bhi kar sakte hai.
Android Apps ka Naam Aur Icon Change Kaise Kare
Step 1 :--- Sabse pahle aapko apne Mobile me Ek Android apps
install karna hoga jiska naam hai Icon Changer Free Aap is Apps ko Play
Store se Install kar sakte hai mai aapko Niche Link de rha hu aap Download par
click karke Apps ko Install Kar sakte hai.
Step 3 :--- Ab aapke samne aapke sabhi Apps Show hone lagenge aapko jis bhi Android apps ka Naam Aur Icon Change karna hai uspar click kijiye mai yaha aapko Lite Apps ka Name aur Icon change karke bata rha hu.
Step 4 :--- Jaise hi aap Apps par click karte hai to ek new Option aayega usme aapko kuch setting karna hai. Usme Change par click kijiye uske baad ek Popup option aayega usme Gallery par click kijiye aur aapke Mobile me save kisi bhi icon ko Select karke save kar sakte hai aap apna Photo bhi laga sakte hai. mai Whatsapp ka Icon lagaya hu.
- Aap yaha par dekh sakte hai Whatsapp ka Icon lag gya hai.
- Ab aap yaha se Apps ka Naam Change kar sakte hai aap apne apne se jo likhna chahte hai likh dijiye. Mai yaha lite apps ko FB lite kar deta hu.
- Ab Finaly OK par click kar dijiye ab kuch second me aapka Apps save ho jayega aur aur aapke Home Screen par Show hone lagega.