Youtag Sponsor ID 48797

Ek Massanger Me Ek se Zayada Facebook Account Add kaise Kare

Dosto aapko to pata hai Facebook aaj duniya ka No.1 social networking site ban chukka hai. Aaj ke date me har ek aadmi prati din kam se kam 30 min.. ka samya facebook par deta hai. Aur aaj sabke pass facebook account hai aur bahut se aise bhi log hai jinke pass 2 Facebook Account hai. Jaise koi apne business ya blog etc ke naam se bhi facebook use karte hai aise me agar unke pass ek hi mobile phone hai aur wah facebook Massanger use karte hai to dono account chalane ke liye bar bar logout karte honge. To aaj mai aapko aisi trick batane jar aha hu jiski madad se aap ek hi Massanger me ek se zayada Facebook Account use kar sakte hai. Bs aapko kuch simple step follow karne hai. Jisse mai niche bata raha hu.



Ek Massanger Me Ek Se Zayada Facebook Account Add Kaise Karte Hai.

Step 1 :----
Sabse pahle aap Facebook Massanger ko open kare aur agar aapka Massanger Old Version hai to sabse pahle usse Update kar le Aur open karke Setting par click karne ke baad Account par click kare.



Step 2 :----
Ab aap yaha par dekh sakte hai pahle se ek Facebook Account login hai ab Dusra Account Add karne ke liye (+) par click kare.



Step 3 :----
(+) par click karte hi ek Popup page open hoga.


1.   Yaha par apna Email-Id ya Mobile No. type kare.
2.   Yaha apna password likhe.
3.   Aur last me ADD par click kare.

Step 4 :----
Add par click karne ke baad CONTINUE par click kare.



Step 5 :----
Continue par click karte hi aapka dusra Facebook Account Login ho jayega. Ab aap yaha ek hi masanger me 2 Facebook Account dekh sakte hai issi traha se aap bahut sare account ko add kar sakte hai.



Note :--- Agar aap koi account login karte hai to dusra apne aap Lotout ho jayega. Ek baar se sirf ek hi Account Online rah sakta hai.

Ab agar aap chahte hai ki pahle wala Account online karna to niche diya gya Step Follow kare.

Pahle Facebook Account ko Online Kaise Kare.

Sabse pahle Massanger ko open karne ke baad Setting me click kare aur uske baad Account par click kare aur usme je jis Account ko online karna hai uspar click kare.
Setting >> Account >> login Account >> Continue


Continue par click karne ke baad aapka Account online ho jayega.
To dosto ye jankari aapko kaisi lagi hame Comment karke bateye aur apne Dosto ke sath Social Site par share kare. Aur aise hi New jankari pane ke liye aap hamare Facebook Group ko join aur Facebook Page ko like karna na bhule.


एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)