Run command
ke bare me to aap jante hi honge. Run command ke dwara ham Computer ke kisi
software ya setting ko open karte hai jaise ki computer me Notepad kholna ho to
Windows ke sath R (windows+R) dabate
hai aur jo windows open hota hai usme Notepad likh kar Enter dabate hai to Notepad khul jata hai,
Run command
kuch hi setting or software ko kholne ke liye hota hai. Isse hamare system ka har
ek software nhi khul sakte.
Lekin
agar aap chahe to apni subidha ke ansar kisi bhi software ka Run command bana
sakte hai jiske dwara aap software ke shortcut tak gaye bina kisi bhi software
ko open kar sakte hai kyuki zaruri nhi ki har ek software ka shortcut aapke desktop
par ho,
To chaliye
jante hai kisi bhi software ka Run command kaise banaye. Isse banana bahut hi
aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare….
Aapko
jis software ka Run Command banana hai aap usko lekar follow kar sakte hai
Exampal ke liye mai yaha Internet
Dowmload Manager ka upyog kar raha hu.
Step 1 :----
Sabse pahle aapko apne Desktop ke khali jagha
par Right Click karke New >>
Shortcut par click kare.
Step 2 :----
Shortcut par click karte hi ek window open
hoga phir aap usme Browse par click
kare.
Step 3 :----
Browse par click karte hi ek new window open
hoga usme aap Computer/Local Disk(C)/Program
Files/Internet Download Manager/IDMan par click karke OK dabaye jaisa ki niche pic me diya gaya hai.
Step 4 :----
Ok dabane ke baad Next
par click kare
Step 5 :----
Next par click karne ke baad aapko IDMan likha hua milega ab aap usko jo
naam dena chahte hai o de sakte hai, jo naam aap yaha denge wahi Run command me
likh kar Enter karna hoga. (Mai ab iska naam thoda change karke sirf IDM rakh raha hu)
Ab IDM likhne ke baad Finish par click kare.
Step 6 :----
Ab aapke desktop par IDM naam se shortcut ban
gaya hai.
Ab aapko isse cut / copy karke Computer/Local Disk(c)/Windows me paste
kar dena hai.
Bas ho gaya aapka kaam ab Windows+R dabaye phir usme IDM type karke Enter Dabaye, Enter
dabate hi Internet Download Manager open ho jayega.
Aapko ye post kaisa laga comment karke hame
bataye aur social site par share bhi kare Agar aapko koi sawal ho to puchna na
bhule….
THANK YOU…..
Pendrive Ko Bootable Kaise BanayeComputer Me Facebook Se Video Kaise Download Kare
Apne Computer Ki Puri Jankari Kaise Dekhe Ek Jagha