Youtag Sponsor ID 48797

Facebook ka Theme (Colour) Change Kaise Karte hai


Dosto facebook ek aise socal networking site hai jiske jariye hum puri duniya se hamesa jude rahte haiIske duara hum apne dosto, bhai bandhu se hamesa chatting karte rahte hai.Facebook ko Mark Zuckerberg ne isse 4 Feb 2004 ko banaya aur aaj ise duniya ka har ek aadmi iske baare me janta hai.




Mark zukarbarg ko BLUE (Nila) rang bahut pasand tha isliye unhone ise BLUE rang se banaya. Agar hum ise kahi bhi open karte hai to ye hamesa blue rang me hi open hota hai, To dosto hum baat kar rahe hai ki iske colar ko kaise change karte hai, Ise change karna bahut hi aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare….



Step 1 :----
Sabse pahle hum apne PC or laptop me Google chrome browser or Mozila firefox browser open karte hai.

To mai yaha Google Chrome use kar raha hu, Browser open hone ke baad ham https://userstyles.org/ site pr jayenge, site open hone ke baad facebook theme pr click kare.

 Step 2 :-----

Facebook theme pr click karte hi new page open hoga jisme bahut se alag-alag colar ke facebook theme honge aapko usme se jo bhi pasand ho aap uspr click ke sakte hai,
Mai yaha Minimalist Facebook 2015 pr click kr raha hu.

Step 3 :----
Minimalist Facebook 2015 par click karte hi ek new page open hoga. 

1.   Usme To use this style, first install Stylish par click kare,
2.   Phir Add extension par click kare,

Ise install hone ke baad browser ke Restore kar dete hai (Close kar ke phir se open karte hai)



Step 4 :----

Browser ko open karne ke baad aap dekhte hai ki browser me new option add ho gaya hai.

1.   Aap yaha par Stylish Toolbar Dekh sakte hai,
2.   Install with Stylish par click kare,
3.   Phir OK par click kare,

Uske baad new tab me apna facebook account open kare ab aap dekhange ki aapka facebook ka Theme (colour) change ho gaya hai, isi prakar aap bahut se stylish ko download kr sakte hai, jaise ki mera facbook ka colour hai aap dekh sakte hai.

To dosto ye raha facebook ka colour kaise change karte hai agar aapko apne facebook ka colour change karne me ki pooblem hoti hai to aap comment kr ke puch sakte hai..... 

एक टिप्पणी भेजें

1टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें