Youtag Sponsor ID 48797

Browser Me JavaScript Band Kaise Kare

Dosto aaj ham is post me janege javascript ko apne browser me band kaise kare. Sabse pahle sawal ye hota hai ki JavaScript ko band kyu kare.
Kabhi-kabhi aisa hota hai ki ham kisi website par Right Click karte hai to Right click nhi hota hai, Agar right click ho bhi jata hai to ham us website se kuch Copy karna chahte hai to Copy nahin kar sakte kyu ki aise site bahut hi Advance type ke bane hote hai,
Agar hame us site se kuch Copy karna ho to ham apne Browser me JavaScript ko band karke us website se koi bhi word ko copy kar sakte hai.




Note :--- Agar ham apne Browser me JavaScript ko band kar dete hai to bahut se Website open nahin ho sakte to jab hame iski zarurat ho tabhi band kare aur phir kaam ho jane ke baad On kar de.



To Chaliye jante hai ise band kaise kare.

Step 1 :----
Sabse pahle Google Chrome open karke upper Right side me Customize and Control Google Chrome par click ke Setting par click kare jaise niche pic me diya gya hai.



Step 2 :----
Setting me jane ke baad Show Advanced settings par click kare.




Step 3 :----
Show Advanced settings par click karne ke baad Content settings.. par click kare.


Step 4 :----
Content settings.. par click karte hi ek popup page open hoga usme Do not Allow any site to run Javascript ko select karke Done par click kare.



Ab us website par jakar kisi bhi word ko copy kar sakte hai.

Jab kaam ho jaye uske baad same Step karke Allow all site to run JavaScript (recommended) ko select karke Done kar de.

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें (0)