Hello Dosto aaj mai aapko aisa Trick batane wala jiski
Help se aap Apne Ek Mobile Me Dual Android Apps chala sakte hai aur wo
bhi bina kisi Third Party Apps ke Kyuki aapko to pata hoga ki aaj kal log apne
Mobile me aaj kal 2-2 Apps use kar rhe hai
lekin uske liye ek lag se Apps install karna padta hai aur uske Ander se kisi bhi apps ka dusra apps use kar sakte hai maine iske bare me pahle bhi bataya hai ki Kaise Ek mobile me2 Facebook, 2 Whatsapp, 2 Twitter etc apps chalate hai.
Waise aaj kal bahut se Mobile me Alredy Dual App use
karne ka Option diya rahta hai
Lekin aaj jo Trick batane wala hu uske liye bhi aapko Apne Mobile ek apps Install karna padega Jiska Naam Hai App Cloner. Ab chaliye pahle jante hai App cloner kya hai aur kaise work karta hai.
App Cloner Kya hai aur Kaise work karta hai.
App cloner ek Android Apps hai aur is Apps se kisi bhi
apps ka Duplicate bana sakte. Isse Duplicate banaya hua apps same waise hi work
karta hai jaise Offical apps work karta hai. is apps se aap naam,Color, Size
aur bhi bahut kuch change kar sakte hai.
Aapko App Clone apps ka use Sirf Apps ka Duplicate banana ke liye use karna hai. To chaliye ab Step by Step jante hai Ek Mobile Me Dual Android Apps Kaise chalaye. Bas aap mere bataye huye Step Ko follow kijiye. Ye trick Unroot Mobile me bhi Work karta hai.
Ek Mobile Me Dual Android Apps Kaise Chalaye. Bina Kisi Other Apps Ke
Step 1 :--- Sabse pahle aapko App Cloner Official Website Ka link Niche de rha hu aap Download par click karke Download App Cloner Par Click karke Install kar sakte hai.
Step 2 :--- Ab App Cloner apps ko Open kijiye open hone ke baad sabhi apps ka list aayega ab aapko jis apps ka Duplicate banana hai uspar click kijiye mai yaha aapko MX Player apps ka Clone karke bata rha hu. To mai MX player par click kiya hu.
2nd page me jaha par Name Likha hai waha se aap Apps ka naam Change kar sakte hai, uske baad Change Icon Color par click kijiye kyuki aap Apps ko alag Pahchan dene ke liye uska Color change kar sakte hai.
Step 3 :--- Jaise hi aap Change Icon color par click karenge to ek popup open hoga waha se aap Apps ka Apne hisab se Color change kar sakte hai. Uske baad OK par click kijiye aur phir wapas page par aa jayenge uske baad (√) par click kijiye.
Step 4 :--- (√) par click karte hi aapka Apps Clone ( Duplicate ) hona start ho jayeha ab aapko kuch wait karna padega kyuki cloning me time lagega. Clone hone ke baad Ek popup Option aayega waha se aap Apps ko install kar sakte hai.
Ab aapke mobile me Duplicate apps install ho jayega ab
aap us apps ko use kar sakte hai bilkul new Apps ke jaise.
Important Note :--- Bahut se aise apps hai jisko Aap Clone nahin kar sakte uske liye aapko Premium Version Buy karna padega
To dosto ummid karta hu aapko ye Post pasand aaya hoga to ab is post ko Apne Dosto ke sath share kijiye aur aise hi New Trick Direct apne Telegram par pane ke liye Teletram Channal Join kijiye.
Ye Post Padhe...