Jab bhi
ham computer par kaam karte hai to kuch file Hide ho jati hai aur kuch file aur
folder pahle se hi Hide rahti hai to is Article me janenge us File Folder Ko Show
(Unhide) kaise karte hai. waise to Alag-alag Operating System me alag-alag
tarika se Show karte hai lekin mai aapko Ek tarika bata raha hu jisse aap sabhi
Operating System jaise Window 7,8,x.10 or vista me ek hi tarika se Hidden File
ko Show kar sakte hai. bs aap mujhe Step by step follow kare.
Step 1 :----
Sabse
pahle aap Start par click karke Control Panel
par click kare.
Step 2 :----
Control
panel par click karne ke baad Appearance and Personalization
par click kare.
Step 3 :----
Appearance
and Personalization par click karne ke baad Folder
Options par click kare.
Step 4 :----
Folder
Options par click karte hi ek Pop up window open hoga.
1. View par click kare
2. Show hidden files. folder. and drives par
click kare
3. Phir
Apply par click kare
4. Uske
baad OK par click kare
Ab to
aap samjh hi gye honge hodden file ko show kaise karte hai. ya phir aapko koi
problem hoti hai to neeche comment karke puch sakte hai. aur ye bhi bataye ki
ye post aapko kaisa laga.
thanks bro
जवाब देंहटाएंvery very thans friend
हटाएं